Hamare sab key dost Hote Hain aur uske sath Hum Bahut Baatein share Karti Lekin Hamare kuch Aisi Baatein hoti hai jo Hame kisi ke saath share nahi karni chahiye Agar aap Kisi Ke Saath Apne Dil Ki Baat Share Karte Hain.
Aur Woh koi bhi ho sakta hai aapka dost aapka Rish tadaar aapka bhai To Naturally Uske aur Hamare Darmiyaan Ek trust sa ban jata hai Yeh ek achi baat hai usse Rishta Mazboot ho jata hai Aur Hamare Dil Ka Bojh be Halka Hota Hai.
Lekin aap ke Kuch Baatein Hote hein Jo aap ko hey pata hona chahiye Main in Baatoo ko bilkul khoofia rakhne ko nahi raha hoon Lekin Aisi Baatoo ko bhi share Karne Ki Zaroorat Nahi Hein.
Aap ki personal life aap ki life hoti hai Aapko Hai Jeena Hai Koi Kuch nahi kar sakta jab tak aap apne aap ke liye kuch Karna na Chahe.
Is article Mein Main aapko 5 Aisi Baatein batane Wala Hoon jo aapko kisi ke saath share nahi karni chahiye.
1.Your Personal life
Sabse Pehli Baat Hai personal life, Aap apni personal life kabhi bhi kisi ke saath share Na Kare Agar aap Aisa karte hai to aap kabhi bhi Apne doston mein Bat nahi sakti Yaha par Ek Chotisi Exmple Main aapko deeta hoon Aap apne dost ke saath apni bahut Saari Baatein share Karte Hain Bahut Sare Raaz aap unko batati hein.Ab Dosto Mein Tu Hasi majak to chalta rehta hai Aap doston mein Baithe hue Ab Woh aapka dost Jisko Apne bahut kuch bataya Hua Hai Woh Kabhi Na Kabhi Kahi na Kahi aapko Aisa mazak Kar Dega.
Ab usko Yeh bilkul B nahi pata hota Ki Ye Baatein khoofia Rakni hai Kisi Ko batana nahi Aur aap Woh Baatein Kisi Ko batana nahi chah rahe the aur usne Woh Baatein Bata De to aap us Mehfil Main sharminda ho jayenge aur aap ka Us Bande se Trust bey khatam ho jayega Isliye Buhtaar hai ke apni personal life key jo bey Baatein hein Apne tak hi Rakhe.
2. Goals
Yani ke aapke maqsad, Apka maqsad jo aap apni life mein karna chah Rahe Hai Kisi ke sath bey share Na Kare Hamare Haa to Ye bahut Come log Aisa Karte Hai Lekin kuch log Aise hote hai ki Kamyab hone se Pahale Logo Ko Khabar kar deti hai Ke Main ne Yeh kaam kar diyaExmple Aapne Japan key visa ke liye apply kiya hai Aur aap apne doston mein Baith kar bade bade Baatein Karte Hai Ki Mai Waha jakar Ye Karunga Woh Karunga aur Kuch Dino baad Khabar Aati Hai ke aap ka visa reject howa.
Ab aap apne Dostoo ka Samna kaise karenge Ab aap apni dosti mein sharminda hongi Isliye jab apka ka jo bey maqsad hein wo pora hogeye to tab aap apne doston mein Yeh baat bata deti is se aapka impression B bahut accha Hoga..
3. Family Issues
Aajkal Har Insaan Dukhi Hai Aur Kisi Na Kisi ke saath Koi Na Koi masla chal raha hota hein Lekin aapko Apne Ghar ki baatein kabhi bhi kisi ke saath share nahi Karni chahiyeIski B ik Example Mein Apko Deta Hoon
ke ladki Shadi Karke Apne Sasural Jati Hai aur Wahan par uske sath ek masla ho jata hai Aur Wo kuch dino baad Apne Ghar atey hein Aur apne ghar mein kaisi hai k Mera Shehar aur Meri Saas achi nahi hai Aur phir kuch Dino Ke Baad Sara masla Hall Ho jata hai aur wo Wahan Khush rehti hai Lekin aap apni Puri Umar Lagegi us dost ko K Main wahan par Khush ho or wo kabhi bhi nahi manege Kyunki aap Ne Khud Hi Uske Mind main ye baat daal Diya Hota Hai ke mai waha pe Khush nahi hu.
Ab Woh Ladki lazmi kisi ke saath Yeh Baat share Karegi ke aap wahan pe Khush nahi hoo
Ab iski kasoorwar aap khude hey hein kyunki aapne usko Apne Ghar Ki Baatein Bata De Tu Better hai K Apni Ghar Ki Baatein Kisi ke saath bhi Share Na Kare.
4. Good Deeds
Yani ki aapki achi Baatein, Aapne to Bachpan Mein Suna Hoga ke Neky Kar dariya mein daal Hamey Har Waqt Apne acche Kaam dusro ke sath share nahi karni chahiye Acche kaam karna Isme Koi Buri baat nahi hai.Lekin Apna acche Kaam dusro ke saath Share karna Buri baat hai aapki personality Ko Bura banata hai Is Se Kya Hota Hai Ke woh Doosre Insan Sochta hai ki yeh apni Tarif Khud Hi karta hai Aur aap Dusro ko ye Bathani ki Baar Baar koshish Karte Hoo ke main aap se achcha hoon.
Ek baat Zehen Mein Bitha Le Ke Zindagi Ek Jaisi nahi hoti Zindagi Mein Utar Cha ralo Aate Rehte Hain Isliye bahtar hai ki Pehle Hai ihteyat Se chalao Kabhi bhi kisi Insan ko dekh kar uska mazak mat udao qk Waqt mein itni takat hai ki wo Koyley Kobe Heera Bana sakta hai.
Last baat hai Finance
5. Finance
Kabhi kisi ke Saath Apne salary bank balance share Na Kare Zaheer C bath hey k Aisa bahut kam log Karte Hain Lekin Phir Bhi is Baat Ko nahi karna chahiye.Exmpale: ke tor par aap aapney dost ko Batati hai ki mera Jeeb kharch Itna hai Aur Main ek mahine Mein itne paise bacha Leta Hoon 4 mahine Ke Baad Mein Ek New mobile leney wala hoo.
Aur Woh dost jo aapko Sunn Raha Hai Aur Woh Soch Raha Hai kiske Paas mahine ke itne paise bajati hai Agar Doosre dost ko paise ki jarurat nahi hogi toh Woh aap se paise Mange ga Jab Woh aap ke saath Paisey ki Bath share Karega to aapke paas Koi Rasta nahi hoga qk aapney Pehle hei usko bataya tha ki main 4 mahine baad Ek Naya mobile Lene wala Ho.
Comment main Zaroor Bataye Ke aap apni personal Baatein dusro ke sath share Karte Hai Ki Nahi.
Last Mein Shukriya article par nika
0 comments: